Friday, December 02, 2005

Manjil........


Raste kitne chala main manjil ko paane ko,
main un hi chalta raha or dooriyaan badti gayi,
kuch door chal kar aaygi manjil meri,
khatm hoga ye safar or maaramari,
bas isi aasha ko leker me chalta raha,
par main un hi chalta raha or dooriyaan badti gayi,
is sfar me the mere humsafar bahut,
kuch ne badle raaste or kuch ki thi manjil alag,
jo mujhe mila me usse muskarakar mila,
kuch mere saathi bane or kuch bichdte chale gae,
ek din tahk jaaunga me is safar me,
or shayad vo din hoga meri jindgi ka aakhri,
dooriyaan manjil ki phir bhi yoon kayam rahengi,
chahe kitna bhi safar kar le mere ye kadam,
kunki main un hi chalta rahunga or dooriyaan badti rahengi.

Tuesday, November 29, 2005

GOD


I think the system in which we are living is so perfect that it can not be created randomly. There must be the existance of any supernatural power, that we called GOD.
I would also mention that we do not know from where we came on earth and where we have to go but we have to live because someone wants us to do like that otherwise when we have to die one day either it is today or after 6O yrs does not matter.
But as we have to live in reality and we can not see god we should take all good works of human beings as Gods work................

KEEP DOING GOOD WORK>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>

Sunday, November 06, 2005

Jindgi Bahut Se Imtahan Leti he


Jindgi Bahut se Imtahan leti he,
Kai bar to bilkul Tod deti he,
Sabhi Khwaishen pal me bikhar jati hein,
Sabhi Chahtein dil me dabi rah jati hein,
Kuch na kar paae aise ulajh jate hein,
Hum Insan to kuch samajh na pate hein,
Khud par Yanki Karna or Ladte Rahna,
Hum Insano ka Yahi to he kam,
Himmat or Dherya hi to banate Jeevan Mahan,
Imtahan to Jeeevan ke saath lage hi rahenge,
Bina Inke to Jeevan soona hi rahega,
Har Imtahan Muskarakar Dena he,
Har samay kuch naya karne ki sochna,
Ho jae to dheek varna phir ek nai tammna,
Ye tammnae hi to jeevan ko naya roop dengi,
Ek alag pahchan is Jeevan ki chorr dengi

Wednesday, July 06, 2005

Mushkilein

Mushkilen Jeene Ka Sahara Ban Gai,
Jis Din Jeevan Ki Haqikat samajh aai mujhe,
Socha na taqleefein aai to kya jindgi bitai,
Na imtahan dene pade is jeevan me to,
Apne jene ka malab hi kya rah jaega,
Poora karne ki koshish me in imtahano ko,
Kuch khwab ban hi jate hein ,
Aur aksar khwab toot jaya karte hein,
Par kya khwab tootne se insaan bhi toot jate hein,

Meri khyal me nahi…………

Kwab tootne se ek anubhav judta he,
Josh dugna karke phir se khwab poora karne ki koshish karni padti he,
Phir kuch khwab toot jate hein kuch poore ho jate hein,
Yahi khwab hi to jeevan ko maksad dete hein,
Nahi to bina maksad ye jeevan kis kam ka,
Jab hume na ye pata ki hum kahan se aae hein,
Or na ye pata ki kahan jana he,
Jie jate hein hum sab jie jate hein …..

Bus shayad in khwabon ko poora karne ko,
Bus jie jaate hein…………………..

SACHI N JAIN

Sunday, July 03, 2005

BARISH




Barish ka mausam he kuch barsat par ho jae,

Jaise Jaise Barish ki boonde Jameen par padti hein,
Vese hi ek nasha sa dil me utarne lagta he,
Is suhane madhosh mausam me ,
Bina pie bhi tan ye bahkne lagta he,
Bus aankhe band karke sochte raho kisi ke bare me,
Dil to bus har bar yahi kahne lagta he,
Badan se ek bhini si Khusbu aati he,
Jeevan bhi mahkne sa lagta he,
Hothon ko rakhkar khamosh hamesha ke lie,
Aankho se batein karne ka dil karta he,
Jaise Lutaa raha he aasman boondo ko,
Kisi par apna pyar lutane ka dil karta he,
Kuch nae arman jagakar is bheege mausam me,
Kisi ko apna banana ka dil karta he,
Pad-pad ki awaz sunkar boondon ki,
Dakh-Dakh sa dil ye bar-bar karta he,
Deewana kahin me ho na jaun is mausam me,
Dil ko dar har bar yahi lagta he………………

Monday, June 27, 2005

bahar


aaj kal baharon ka mausam he is par meri kuch panktiyan

Bahar aaengi mere jeevan me ek bar,
ye dil bhi kabhi bekerar hoga,
nigah dekh rahien he kabse rasta,
khtam ek din inka intejar hoga,
gul ek din khulkar muskaraenge,
fiza me samaya intna pyar hoga,
hoth(lips) chahkar bhi kuch na bol paenge,
bus aankho hi aankho me baton ka daur hoga.

Thursday, June 23, 2005

Inspired By

Bujh jae shamma to jalai ja sakti he,
kishti har toofan nikali ja sakti he,
mayoos na ho bande irada na badal,
takdeer kisi bhi wakt badli ja sakti he.
About Finding Someone:
Har kisi ko yon gale se lagaya nahi jata,
har kisi ko yon khwabon me basaya nahi jata,
ye dil bahut beshkeemti cheej he,
isko yoon muft me lotaya nahi jata.

Dream

Aksar kwab hote hein sirf tootne ke lie
kya yahi sochkar hum kwab dekhna band kar de,
is par me to sirf itna hi kahunga ki
har toote kwab se ek sabak nikala jae
phir se ek khwab banaya jae,
kitne kwab todegi ye berehm dunia,
kyon na har rat ek khwab banaya jae.