Friday, December 02, 2005

Manjil........


Raste kitne chala main manjil ko paane ko,
main un hi chalta raha or dooriyaan badti gayi,
kuch door chal kar aaygi manjil meri,
khatm hoga ye safar or maaramari,
bas isi aasha ko leker me chalta raha,
par main un hi chalta raha or dooriyaan badti gayi,
is sfar me the mere humsafar bahut,
kuch ne badle raaste or kuch ki thi manjil alag,
jo mujhe mila me usse muskarakar mila,
kuch mere saathi bane or kuch bichdte chale gae,
ek din tahk jaaunga me is safar me,
or shayad vo din hoga meri jindgi ka aakhri,
dooriyaan manjil ki phir bhi yoon kayam rahengi,
chahe kitna bhi safar kar le mere ye kadam,
kunki main un hi chalta rahunga or dooriyaan badti rahengi.

No comments: