Sunday, November 06, 2005

Jindgi Bahut Se Imtahan Leti he


Jindgi Bahut se Imtahan leti he,
Kai bar to bilkul Tod deti he,
Sabhi Khwaishen pal me bikhar jati hein,
Sabhi Chahtein dil me dabi rah jati hein,
Kuch na kar paae aise ulajh jate hein,
Hum Insan to kuch samajh na pate hein,
Khud par Yanki Karna or Ladte Rahna,
Hum Insano ka Yahi to he kam,
Himmat or Dherya hi to banate Jeevan Mahan,
Imtahan to Jeeevan ke saath lage hi rahenge,
Bina Inke to Jeevan soona hi rahega,
Har Imtahan Muskarakar Dena he,
Har samay kuch naya karne ki sochna,
Ho jae to dheek varna phir ek nai tammna,
Ye tammnae hi to jeevan ko naya roop dengi,
Ek alag pahchan is Jeevan ki chorr dengi

No comments: