Friday, January 27, 2006

This is Probably my one of Best the Till Now


Me Kafi dino se ye soch raha hoon ki us din maine pata nahi kya socha tha i did not know how it comes to my mind but This is Probably my one of my BEST Till Now and after writing that i think that YES NOW I CAN SAY PROUDLY THAT I WRITE HINDI POETRY

Jindgi Ke Bhanwar main Hum Kitne Fans Gae,
Na Rahna Chahe Usme Na hi Chahe Usse Nikalna,
Agar Rahein to Pade Sahne Jeevan Ke Thapede Yahan,
Nikalne Ki Rah me he Majbooriyaon Ka Samandar,
Jimmedariyan Khadi hein Ghadiyal ki tarah,
Hamari Bebasi ka to ye he Aalam,
Pahchan mit rahi he humare Wajood ki yahan,
Phir bhi hume Bhanwar me rahna hi pasand he,
Kyonki Nikalkar to Darr he Doob Jane Ka,
Bhanwar me kam se kam Jeevan to he Humare pass,
Na Chahein Kuch Bhi alag Jeevan se Hum,
Bane hue Raste par hi Chanla Chahein Hum sab,
Par Shayad Nahi Sochte Kabhi Hum,
Kuch Alag Prayas hi Banate hein ek Wajood ko,
Nikalkar Hum Doob Bhi Gae to Kya Hoga,
Jab Ek Din Doobna Hi he Hum sab ko,
Wajood or Pahchan to rah Jaegi Humari Yahan,
Kam se Kam Bhanwar se to niklenge Hum,
Sirf Dhoenge nahi IS JEEVAN Naiya Ko,
Vastav me Jienge Hum apne is Jeevan koVastav me Jienge ………………………………………………….SACHIN JAIN