Wednesday, July 06, 2005

Mushkilein

Mushkilen Jeene Ka Sahara Ban Gai,
Jis Din Jeevan Ki Haqikat samajh aai mujhe,
Socha na taqleefein aai to kya jindgi bitai,
Na imtahan dene pade is jeevan me to,
Apne jene ka malab hi kya rah jaega,
Poora karne ki koshish me in imtahano ko,
Kuch khwab ban hi jate hein ,
Aur aksar khwab toot jaya karte hein,
Par kya khwab tootne se insaan bhi toot jate hein,

Meri khyal me nahi…………

Kwab tootne se ek anubhav judta he,
Josh dugna karke phir se khwab poora karne ki koshish karni padti he,
Phir kuch khwab toot jate hein kuch poore ho jate hein,
Yahi khwab hi to jeevan ko maksad dete hein,
Nahi to bina maksad ye jeevan kis kam ka,
Jab hume na ye pata ki hum kahan se aae hein,
Or na ye pata ki kahan jana he,
Jie jate hein hum sab jie jate hein …..

Bus shayad in khwabon ko poora karne ko,
Bus jie jaate hein…………………..

SACHI N JAIN

Sunday, July 03, 2005

BARISH




Barish ka mausam he kuch barsat par ho jae,

Jaise Jaise Barish ki boonde Jameen par padti hein,
Vese hi ek nasha sa dil me utarne lagta he,
Is suhane madhosh mausam me ,
Bina pie bhi tan ye bahkne lagta he,
Bus aankhe band karke sochte raho kisi ke bare me,
Dil to bus har bar yahi kahne lagta he,
Badan se ek bhini si Khusbu aati he,
Jeevan bhi mahkne sa lagta he,
Hothon ko rakhkar khamosh hamesha ke lie,
Aankho se batein karne ka dil karta he,
Jaise Lutaa raha he aasman boondo ko,
Kisi par apna pyar lutane ka dil karta he,
Kuch nae arman jagakar is bheege mausam me,
Kisi ko apna banana ka dil karta he,
Pad-pad ki awaz sunkar boondon ki,
Dakh-Dakh sa dil ye bar-bar karta he,
Deewana kahin me ho na jaun is mausam me,
Dil ko dar har bar yahi lagta he………………